Online Form कैसे भरा जाता है? यहाँ जानिए

Online form kaise bhara jata hai?

Ajkal sabhi pratiyogi parikshaon ke form online hi bhare jaa rahe hain. isliye hum me se bahut se logo ko kayi bar online form bharne me pareshani hoti hai aur  hum cyber cafe ki help lete hain. 

isliye aj hum apko batane ja rahe hain ki online form kaise bhara jata hai jis se ap online form bharne ka tarika hindi me jan sake.

jis se ap asani se khud ke liye pratiyogi parikshaon ke online form bhar sakte hain aur admit card download karke save kar sakte hain.

humne dekha hai ki jab bhi kisi competitive exam ka form nikalta hai to logo ke samne yahi sawal hota hai ki online form kaise bhare? aur logo ko form bharne me dikkat ka samna karna padta hai.

kayi log cyber cafe walo ko 5-5 sau rupaye dekar apna online form bharte hain. kyonki unko nhi pta hota ki online form kaise bhara jata hai. ek to exam ki fees aur upar se online form bharne ka bhi paisa dena pade to apko kisi bhi pariksha ka exam dene ke kiye double paise kharch ho jate hain, lekin yadi ap ye jan le ki online form kaise bharte hain to apke paise aur time dono bachenge.

to ayiye hum apko batate hain ki online form kaise bhara jata hai?

Ye hai online form bharne ka tarika hindi me...

dekha gaya hai ki jo bhi online form bharte hain usme ek jaisi hi informations mangi jati hain jaise name, father's name, address, categoty, academic qualification ki information etc. ab agar apko pata hai ki online form kaise bhara jata hai to ye sab information ap ek jagah par save karke rakh lijiye.

iske alawa apse ek passport size photo upload karne ko kaha jata hai jiska size approx. 20 se 50 kb hota hai. iske sath apke signature bhi upload karne ko kaha jata hai, jiska size approx 20kb hona chahiye. isko bhi baki information ke sath save kar lijiye. kabhi kabhi apke left or right thumb impression ko bhi upload karne ko kaha jata hai isliye ise bhi save kar lijiye.
Agar apke pas ye sab information hai to apko cyber cafe me paise kharch karne ki koi jarurat nahi hai. yadi apke pas smartphone/laptop/desktop aur internet hai to ap ghar baithe koi bhi online form bhar sakte hain ya cyber cafe me jakar ek computer par baith kar khud online form bhare.

Jis competitive exam ka form bharna hai uski official website open kare aur online form ko open karke sabhi mangi gayi information sahi sahi bhare jo apke pas pahle se hi save hai. iske bad apke pas fees payment karne ka option ayega to ap online banking ya credit/debit card se payment kar sakte hain. Jiske bad apka online form bharne ka kam pura ho jayega. iske bad jab apka admit card ayega to ap use usi website se download karke save kar sakte hain. Ap apna exam form bhi save karke rakh sakte hain jis se apko apna roll number dekhne ke liye kahi bhatakne ki jarurat nhi padegi. 

yaha par apko online form kaise bharte hain ye bade asan tarike se bataya gaya. asha hai ki ab apko online form bharne me kisi ki help ki jarurat nahi padegi. ab ap khud online form bhar sakte hain.

Dosto, ab apko pata chal hi gaya hoga ki online form kaise bhara jata hai? isliye ab apna online form ap khud hi bhare.

Copyright ©2021. All Rights Reserved.

online form kaise bhara jata hai, online form kaise bharte hain, Online form kaise bhare, online form bharne ka tarika, online form bharne ka tarika in hindi, online form bharne ka tarika video, admission form bharne ka tarika, online pf form bharne ka tarika, admission form, online forms in gorakhpur, examination form, online form kaise bhare in hindi, online job form bharne ka tarika, pradhan mantri awas yojana form bharne ka tarika
Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url